A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aankh se duur na ho, dil se utar jaaey ga
Waqt ka kia hai, guzarta hai, guzar jaaey ga

Itna maanoos na ho, khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga tou dar jaaey ga

Tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaao gey
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaaey ga

Zindagi teri ataa hai tou ye jaaney waala
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaaey ga

Doobtey doobtey kashti tou uchaala dey dun
Main nahi, koi tou saahil pe utar jaaey ga

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka Faraz
Zaalim ab ke bhi na rooey ga tou mar jaaey ga

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]