A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Badan mein aag si chehra Gulaab jesa haai
Ke Zeher-e-gham ka nashaa bhi sharaab jesa hai

Kahan wo qurb ke ab tou ye haal hai jesey
Tere firaaq ka aalam bhi khwaab jesa hai

Magar kabhi koi dekhey, koi parhey tou sahi
Dil aaina hai tou chehra kitaab jesa hay

Wo saamney hai magar tishnagi nahi jaati
Ye kia sitam hai ke daryaa sharaab jesa hai

Faraz sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
Hamein azeez hai, khaan-kharaab jesa hai

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]