A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Cherey main ne kabhi la\ub-o-rukhsaar ke qissey
Gahey gul-bul-bul ki hikaayat ko nikhaara
Gahey kisi shahzaadey ke afsaaney sunaaey
Gahey kiya dunyaa-e-paristaan ka nazaara
Main khoya raha jinn-o-malaaik ke jahaan mein
Har lahaja agarchey mujhe aadam ne pukaara

Barson yunhi dil-jama'ai-e-aurang ki khaatir
Sau phool  khilaaey kabhi sau zakhm khareedey
Main likhta raha hijv baghaawat manshoon ki
Main parhta raha qasr-nasheenon ke qaseedey
Ubharna bhi agar dil mein koi jazbaa-e-sar-kash
Iss khauf se chup tha ke koi hont na see dey

Lekin ye telismaat bhi taa-dair na reh paaey
Aakhir mae-o-mena-o-daf-o-chang bhi tootey
Yun dast-o-giraibaan hua insaan-o-khudabund
Nakcheer tou tarpey qafas-e-rung bhi tootay
Iss qashmakash-e-zaara-o-anjum ki fizaa mein
Kashkol tou kia afsar-o-aurang bhi tootey

Maein dekh raha tha mere yaaron ne barh kar
Qaartil ko pukaara kahi maqtal ko saza di
Gahey rasn-o-daar ke aaghosh mein jhooley
Gaahey haram-o-dair ki deewar hila di
Jis aag se bharpoor tha maahol ka seena
Wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di

Aur aaj shikastaa hua har tauq-e-talaai
Ab funn mera darbaar ki jaageer nahi hai
Ab mera husn hai merey jamhoor ki daulat
Ab mera junoon kaif-e-taazeer nahi hai
Ab dil pe jo guzrey ki bey-tauq kahun ga
Ab mere qalam mein koi zanjeer nahi hai

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]