A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dhota hun jab main peeney ko us seematan k paaun
Rakhta hai zidd se khainck kar bahar lagan k paaun

Di saadagi se jaan parun koh-kan ke paaun
Hain hath kiun na toot gaye peerazaan k paaun

Bhaagey thay hum bohot, so usi ki saza hai ye
Ho kar aseer dabaatey hein raah-zan k paaun

Marham ki justajoo mein phira hun jo duur duur
Tan se siwaa-figaar hein iss khasta-tan k paaun

Allah rey zauq-e-dastan wardi ke ba'ad-e-marg
Hiltey hein khud-ba-khud mere andar kafan ke paaun

Hai josh-e-gul bhaar mein, yaan tak k har taraf
Urtey huey ulajhtay hein murgh-e-chaman k paaun

Shab ko kisi k khuaab mein aaya na ho kahin
Dukhte hein aaj us but-e-naazuk-badan k paun

Ghalib mere kalaam mein kiun kar maza na ho
Peeta hun Khusroo-e-shireen-sukhan k paaun

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]