A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dost ban kar bhi nahi saath nibhaaney waala
Wohi andaaz hai zaalim ka zamaaney waala

Ab isey log samajhtey hain firaftaar mera
Sakht naadin hai mujhe daam mein laaey wala

Kia kahein kitney maraasim thay hamaarey is se
Wo jo ik shakhs hai munh pher k jaaney waala

Tere hotey huey aa jaata thi saari duniyaa
Aaj tanhaa hun tou ko nahi aaney waala

Muntazir kis ka hun tooti hui dehleez pe main
Kaun aaey ga yahaan, kaun hai aaney waala

Main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ki jaltey
Hai koi khwaab ki taabeer bataaney waala

Kia Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itnaa
Hai wohi mujh ko sar-e-daar bhi laaney wala

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtey ho Faraz
Dost hota nahi har hath milaaney waala

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]