A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dost Gham khuari mein meri sa'ee farmaein gey kia
Zakhm k bharney talak naakhun na barh jaaein gey kia

Bey niazi hudd se guzri banda parwar kab talak
Hum kahein gey haal-e-dil aur aap farmaaein gey kia

Hazrat-e-naaseh gar aaein deedah-e-dil farsh-e-raah
Koi mujh ko ye tou samjha do k samjhaaein gey kia

Aaj waan tegh-o-kafan baandhey huey jaata hun main
Uzr mera qatl karne mein wo ab laaein gey kia

Gar kiya naaseh ne hum ko qaeid, acha yun sahi
Ye junoon-e-ishq k andaaz chutt jaeingey kia

Khaana zaad-e-zulf hein, zanjeer se bhaagein gey kia
Hein giraftaar-e-wafa zindaan se ghabraaein gey kia

Hai ab is maamoor mein qehat-e-gham-e-ulfat Asad
Hum ne ye maana ke Dilli mein rahein, khaaein gey kia

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]