A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Giley fuzool thay ahd-e-wafa k hotey huey
So chup rahaa sitam-e-narawaa ke hotey huey

Ye qurbaton mein ajab faasley parey ke mujhe
Hai aashnaa ki talab, aashnaa ke hotey huey

Wo hilaagar hein jo majbooriyaan shumaar karein
Chiraagh hum ne jalaaye hawa ke hotey huey

Na kar kisi pe bharosa ke kashtiyaan dobeen
Khuda ke hotey huey, naa-khudaa ke hotey huey

Kisey khabar haik kaasa-ba-dast phirte hein
Bohot se log saron par huma ke hotey huey

Faraz aisey bhi lamhey kabhi kabhi aaey
Ke dil giriftaa raha dil-rubaa ke hotey huey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]