A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kabhi naiki bhi us ke jee mein aa jaey hai mujh se
Jafaaein kar k apni yaad sharma jaaye hay mujh se

Khudara jazba-e-dil ki magar taseer ulti hay
Ke jitna khainchata hun, aur khaincha jaaye hai mujh se

Wo baad-e-khoo aur meri daastaan-e-ishq toolaani
Ibarat mukhtasar, qaasid bhi ghabra jaaye hai mujh se

Udhar wo bud gumaani hay, idhar ye naa tawaani hay
Na pucha jaaye hai us se, na bola jaaye hay hum se

Sambhalney dey mujhe aey naa ummeedi, kia qayaamat hai
Ke daamaan-e-khayaal-e-yaar chuuta jaayre hai mujh se

Takalluf bartaraf, naazaaragi mein bhi sahi, lekin
Wo dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujh se

Huey hein paaun hi pehlay nabard-e-ishq mein zakhmi
Na bhaga jaaye hai mujh se, na thehra jaaye hay ,mujh se

Qayamat hay k howe muddai ka humsafar Ghalib
Wo kaafir hay, khuda ko bhi naa sompaa jaye hai mujh se.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]