A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kia rukhsat-e-yaar ki ghari thi
Hansti hui raat ro pari thi

Hum khud hi huey tabaah warna
Duniya ko hamaari kia pari thi

Ye zakhm hein un dinon ki yaadein
Jab aap se dosti bari thi

Jaatey tou kidhar ko tere wehshi
Zanjeer-e-junoon kari pari thi

Gham thay ke Faraz aandkhiyaan theen
Dil tha ke Faraz, pankhari thi

1 comment:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]