A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Paich rakhtey ho bohot saaj-o-dastaar ke beech
Main ne sar girtey huey dekhey hain baazaar ke beech

Baagh-baanon ko ajab rung se taktey hain gulaab
Gul-farosh aaj bohot jamaa hain gul-zaar ke beech

Kaj-adaaon ki inaayat hay k ham se ush-shaaq
kabhi deewaar ke pichey, kabhi deewaar ke beech

Tum ho naa-khush tou yahaan kaun hay khush phir bhi Faraz
Log rehtey hain isi sheher-e-dil-e-aazaar ke beech

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]