A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ranjish hi sahi dil hi dukhaaney k liye aa
Aa phir se mujhe chor ke jaaney k liye aa

Pehley se muraasim na sahi, phir bhi kabhi tou
Rasm-o-raah-e-duniya hi nibhaaney ke liye aa

Kis kis ko bataaein gey judaai ka sabab hum
Tu mujh se khafaa hai tou zamaaney ke liye aa

Kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi tou kabhi mujh ko manaaney ke liye aa

Aik umar se hun lazzat-e-giriyaa se bhi mahroom
Aaey raahat-e-jaan mujh ko rulaaney ke liye aa

Ab tak dil-e-khush-fehem ko tujh se hain ummeedein
Ye aakhri shama'aa bhi bujhaaney ke liye aa

Maana ke mohabbat ka chupaana hai mohabbat
Chupkey se kisi roz bataaney ke liye aa

Jaise tujhe aatey hain, na aaney ke bahaaney
Aisey hi kisi roz na jaaney ke liye aa

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]