A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Suna hai log usey aankh bhar ke dekhte hain
So us k sheher mein kuch din theher ke dekhte hain

Suna hao rabt hao us ko kharaab haalon se
So apne aap ko baraad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shaghaf
So hum bhi maujazey apne hunar ke dekhte hain

Suna hai boltey tou baaton se phool jhartey hein
Ye baat hai tou chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat usey chaand takta rehta hai
Sitaar-e-baam-e-falak se utar ke dekhte hain

Suna hai hashr hein us ki ghazal si aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usey titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhte hain

Suna hai raat se barh kar hain kaakulein us ki
Suna hai shaam ko saaey guzar ke dekhte hain

Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
Tou us ko sarma-farosh aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke lubon se gulaab jalte hain
So hum bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasaal hai jabeen us ka
Jo saada-dil hain sab sanwar ke dekhte hain

Suna hai jab se humaail hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e-tasavwwur se dasht-e-imkaa mein
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain

Suna hai us ke badan ke taraash aisey hain
Ke phool apni qabaaein qatar ke dekhte hain

Wo sharv-qad hai magar bey-gul-e-muraad nahi
Ke us shajar pe shagoofey samar ke dekhte hain

Bas ek nigaah se lut-taa hai kaafila dil ka
So rah-rawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bashisht
Makeen udhar ke bhi jalwey idhar ke dekhte hain

Rukey tou gardishein us ka tawaaf karti hain
Chaley tou us ko zamaaney theher ke dekhte hain

Kisey naseeb ke be-pairahaan usey dekhe
Kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

Kahaaniyaan hi sahi, sab mubaalaghey hi sahi
Agar wo khwaab hai, taabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher mein theherney ki kuch kar jaaein
Faraz aao, sitaarey safar ke dekhte hain

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]