A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Wafa ke bhais main koi raqeeb-e-sheher bhi hai
Hazar, ka sheher ke qaatil tabeeb-e-sheher bhi hai

Wohi sipaah-e-sitam khaima-zan hai chaaron taraf
Jo mere bakht mein tha, ab naseeb-e-sheher bhi hai

Udhar ki aag idhar bhi puhunch na jaaey kahin
Hawa bhi taiz hai, jungle qareeb-e-sheher bhi hai

Ab us ke hijar mein rotey hain, us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke wo zaalim habeeb-e-sheher bhi hai

Ye raaz naara-e-Mansoor hi se hum pe khula
Ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-sheher bhi hai

Kari hai jang, ke ab ke muqaabaley pe Faraz
Ameer-e-sheher bhi hai aur khateeb-e-sheher bhi hai

1 comment:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]