A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Apney taeen tou har ghari, gham hai, alam hai, daagh hai
Yaad karey hamein kahi, kab ye tujhe dimaagh hai

Jee ki khushi ahi giro, sabz-o-gul ke haath kuch
Dil ko shagufta jis jagah, wohi chaman hai, baagh hai

Kis ki ye chashm-e-must ne bazm ko yun chaka diya
Misl-e-habaab sar-nagoon, sharam sey har ayaagh hai

Jaltey hi jaltey subah tak, guzri usey tamaam shab
Dil hai ke shola hai koi, shama'a hai ya chiraagh hai

Paaiyye kis jaga bata, aey-but-e-bey-wafa tujhe
Umar-e-guzishta ki tarah, gham hi sada suraagh hai

Sair-e-bahaar-o-baagh se hum ko maaf ki jiye
Us ke khayaal-e-zulf sey, dar kisey faraagh hai

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]