Gul ko mehboob mein qayaas kia
Farq nikla bohot jo baas kia
Dil ne hum ko misaal-e-aaina
Aik aalam se roo-shanaas kiya
Kuch nahi soojhta hamein us din
Shauq ne hum ko bey-hawaas kiya
Subah tak shama'a sar ko dhundti rahi
Kia patangey ne iltemaas kiya
Aisey wehshi kahaan hain aey khoobaan
Meer ko tum ne abas udaas kiya
Farq nikla bohot jo baas kia
Dil ne hum ko misaal-e-aaina
Aik aalam se roo-shanaas kiya
Kuch nahi soojhta hamein us din
Shauq ne hum ko bey-hawaas kiya
Subah tak shama'a sar ko dhundti rahi
Kia patangey ne iltemaas kiya
Aisey wehshi kahaan hain aey khoobaan
Meer ko tum ne abas udaas kiya

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.