Hoti hai agarchey kahaan sey yaaron paraai baat
Par hum sey tou thami na kabhoo, munh pe aai baat
Kehtey tou us se miltey, tou kia kia na kehtey laik
Wo aa gaya tou saamney us ke na aai baat
Bul-bul ke boney mein sab andaaz hain merey
Posheeda kia rahi hai kisi ki uraai baat
Ik din kaha tha ke khaamoshi mein hai waqaar
So mujh sey hi sukhan nahi main jo bataai baat
Ab mujh zaif-o-zaar ko mat kuch kaha karo
Jaati nahi hai mujh sey kisoo ki uthaai baat

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.