A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hum tujh se kis hawas ki falak justujoo karein
Dil hi nahi raha hai ke kuch aarzoo karun

Mitt jaaein aik aan mein kasrat-e-numaayaan
Hum aainey ke saamney aa kar jo hoo karein

Tar-daamani pe Sheikh hamaari na jaaiyo
Daaman nichor dein tou farishtey wuzoo karein

Sar taa qadam zubaan hai joon shamaa go-kay hum
Par ye kahan majaal jo kuch guftagoo karein

Har-chund aaina hun par itna na qubool
Munh phair ley wo jis ke mujhe roo-ba-roo karein

Ney gul ko hai sabaat, ney hum ko aitabaar
Kis baat par chaman hawas-e-rung-o-boo karein

Hai apni ye salaah ke sab zaahidaan-e-sheher
Aey Dard aa ke bait-e-dast-e-saboo karein

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]