A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Jab sey sheher ko chora, har rasta sunsaan hua
Apna kia hai, saarey sheher ka ik jaise nuqsaan hua

Mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein
Patthar bhi ro partey hain, insaan tou phir insaan hua

us key zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron sey
Us sey kaisa shikwa kee jiye, wo tou abhi naadaan hua

Yun bhi kam aamaiz ha Mohsin, wo is sheher ke logon mein
Lekin Mere saamney aa kar aur hi kuch anjaam hua


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]