A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Iss waqt tou yun lagta hai ab kuch bhai nahi hai
Mahtaab, na sooraj, na andhera na sawera
Aankhon ke dareechey mein kisi husn ki jhalakan
Aur dil ki panaahon mein kisi dard ka dairaa
Mumkin hai koi wehm ho mumkin hai suna ho
Galiyon mein kisi chaap ka ik aakhiri phaira
Shaakhon mein khayaalon mein, ghaney payr ki shayad
Ab aa ke karey ga na koi khwaab basaira
Ik bayr na ik mahar, na ik rabt na rishta
Tera koi apna, na parayaa koi mera
Maana ke ye sun-saan ghari sakht bari hai
Lekin mere di ye tou faqat aik ghari hai
Himmat karo jeeney ko abbhi umar pari hai

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]