A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Mere sung-e-mazaar par farhaad
Rukh ke tesha kahey hai 'Ya Ustaad'

Hum sey bin-murg kia juda ho malaal
Jaan ke saath hay dil-e-naashaad

Fikr-e-taameer mein na reh muneem
Zindagi ki kuch bhi hai buniyaad

Khaak bhi sar pey daalney ko nahi
Kis kharaabey mein hum huey aabaad

Suntey ho, tuk suno ke phir mujh baad
Naa suno geyye naala-o-fariyaad

Har taraf hain aseer hum-aawaaz
Baagh hai ghar tera tou aey Sayyaad

Hum ko marna ye hai ke kab howey
Apni qayd-e-hayaat sey azaad


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]