A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Patta patta boota boota haal hamaara jaaney hai
Jaaney na jaaney gul hi na jaaney, baagh tou saara jaaney hai

Lagney na dey bas ho tou us ke gohar-e-gosh ke baaley tak
Us ko falak chashm-e-maey-o-khor ki tit-lee ka taara jaaney hai

Aagey us mutakabbur ke hum Khuda Khuda kiya kartey hain
Kab mojood Khuda ko wo maghroor khud-aara jaaney hai

Aashiq saa tou sada koi aur na hoga duniya mein
Jee ke ziyaan ko ishq mein us ke apna waara jaaney hai

Charaah-gaari beemaari-e-dil ke rasm-e-sheher-e-husn nahi
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard ka chaara jaaney hai

Kia hi shikaar-faraibi par maghroor hai wo Sayyad bacha
Ta'er urtey hawa mein, saarey apni usaara jaaney hai

Mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat aik se waaqif in mein nahi
Aur tou sab kuch tunz-o-kanaaya ramz-o-ishaara jaaney hai

Kia kia fitney sar pe us ke laata hai maashooq apna
Jis bey-dil, bey-taab-o-tawaan ko ishq ka maara jaaney hai

Aashiq ko murda hai hamesha jee uthta hai dekhe usey
Yaar ke aa jaaney ko yakaa-yak umr do bara jaaney hai

Rukhnon sey deewaar-e-chaman ke munh ko ley hai chpipaa yaani
Un suraakhon ke tuk rehney ko sau ka nazaara jaaney hai

Tashna-e-khoon hai apna kitna Meeer bhi naadaan talkhi-kash
Dum-daar aag-e-taigh ko us ke aab-e-gawaaraa jaaney hai


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]