A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Main ne samjhaa tha ke tu hai tou darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai tou gham-e-deher ka jhagraa kia hai
Teri soorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kia hai
Tu jo mil jaaey tou taqdeer nigoon ho jaaey
Yun na tha main ne faqat chaaha tha yun ho jaaey
Aur bhi dukh hain zamaaney mein mohabbat ke siwa
Raahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

An-ginat sadiyon ke tareeq baheemaana talism
Raisham-o-atlas-o-kam-khwaab mein bahimaaey huey
Jaa-a-jaa biktey huey koocha-o-azaar mein jism
Khaak mein lithrey huey, khoon mein nehlaaey huey
Jism nikley huey amraaz ke tanooron sey
Peep behti hui galtey huey naa-sooron sey
Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kia ki jiye
Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kia ki jiye
Aur bhi dukh hain zamaaney mein mohabbat ke siwa
Raahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]