A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tohmatein chund apney zimmey dhar chaley
Jis liye aaey thay, so hum kar chaley

Zindagi hai ya koi tuufaan hai
Hum tou iss jeenay ke haathon mar chaley

Kia hamein kaam inn gulon se aey saba
Aik dum aaaey, idhar udhar chaley

Dosto dekha tamaasha yaan ka sab
Tum raho khush, hum tou apney ghar chaley

Aah bas jee mat jala tub jaaniye
Jab koi afsoon tera us par chaley

Shama'a ki maanind hum iss buzm mein
Chashm-e-num aaey thay, daamn-tar chaley

Dhoondtey hain aap se usko parey
Sheikh Shaab chor ghar, baahar chaley

Hum jahaan mein aaey thay tanhaa waaley
Saath apney ab usey ley kar chaley

Joon sharaar aey hasti-e-bey-bud yaan
Baarey hum  bhi apni baari bhar chaley

Aik main dil-raish hun wesa hi dost
Zakhm kitnon ka suna hai bhar chaley

Hum na jaaney paaey baahar aap se
Wo bhi aarey aa gaey, jeedhar chaley

Saaqiya yaan lag raha hai chal-chalaao
Jab talak bas chal sakey, saagar chaley

Dard kuch maaloom hai ye log sab
Kis taraf aaey thay, kidhar chaley


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]