A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tum hi ko yaan jalwa-farma na dekha
Baraabar hai duniya ko dekha na dekha

Mera ghuncha-e-dil hai wo dil-gereftaa
Ke jis ko kaso ne kabhi waa na dekha

Aziyyat, museebat, malaamat, balaayein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha

Kiya mujh ko daaghon sarw-e-chiraaghaan
Kabho tu ne aa kar tamaasha na dekha

Taghaaful ney tere ye kuch din dikhaaey
Idhar tu ne lekin na dekha, na dekha

Hijaab-e-rukh-e-yaar rhay aap hi hum
Khuli aankh ja koi pardah na dekha

Shab-o-roz aaey Dard dar-pey hun us ke
Keso ne jisey yaan samjha na dekha



No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]