Wafa ke khwaab, mohabbat ka aasaraa ley jaa
Agar chala hai tou jo kuch mujhe diya ley ja
Maqaam-e-sood-o-ziyaan aa gaya hai phir jaanaan
Ye zakhm mere sahi, teer tou utha ley jaa
Yahi hai qismat-e-sahra, yahi karam tera
Ke boond boond ata kar, ghata ghata ley ja
Ghuroor-e-dost se itna bhi dil-shikasta na ho
Phir uth ke saamney damaan-e-ilteja ley ja
Nadaamatein hon tou sar baar-e-dosh hota hai
Faraz jaan ke aewaz aabaroo bacha ley ja

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.