A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ye dil, ye paagal dil mera, kiu bujh gaya, aawaaragi
Is dasht mein ik sheher tha, wo kia hua, awaaragi

Kal shab mujhe bey-shakal si aawaaz ney chaunka diya
Main ne kaha tu kaun hai, us ne kaha, awaaragi

Ik tu ke sadiyon sey mere hum-raah bhi hum-raaz bhi
Ik main ke tere naam sey naa-aashna, aawaaragi

Ye dard ki tanhaaiyaan ,ye dasht ka veeraan safar
Hum log tou ukta gaey, apni suna, aawaaragi

Ik ajnabi jhonkey ney jab pucha mere gham ka sabab
Sehra ki bheegi raaton par, main ney likha, aawaaragi

Ley ab tou dasht-e-shab ki saari wus'atein soney lageen
Ab jaagna hoga hamein, kab tak bata, awaaragi

Kal raat tanha chaand ko, dekha tha main ne khwaab mein
Mohsin mujhe raas aaey gi, shaayad sada, aawaaragi

Urdu Poetry

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]