A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Zikr-e-shab-e-firaaq sey wehshat usey bhi thi
Meri tarah kisi sey mohabbat usey bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naey chehron ki deed ka
Rasta badal ke chalney ki aadat usey bhi thi

Us raat dair tak wo raha mehw-e-guftagoo
Masroof main bhi kam tha, faraaghat usey bhi thi

Sunta tha wo bhi sab sey puraani kahaaniyaan
Taaza rafaaqaton ki zaroorat usey bhi thi

Mujh sey bichar ke sheher mein ghul mil gaya wo shakhs
Warna har aik saans qayaamat usey bhi thi

Urdu Poetry

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]