Aa ke meri jaan mein qaraar nahi hai
Taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
Detey hein jannat hayaat-e-deher k badley
Nasha ba-andaaz-e-khumaar nahi hai
Giriyaa nikaaley hai teri bazm se mujh ko
Haaey! ke roney pe ikhtiyaar nahi hai
Hum se abas hay gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Khaak mein ush'shaaq ki ghubaar nahi hai
Dil se utha lutf-e-jalwa haaey ma'aani
Ghair-e-gul aaina-e-bahaar nahi hai
qatal ka mere kiya hai ahad tou baarey
Waaey, agar ahad ustawaar nahi hai
Tu ne qasam mae-kashi ki khaai hay Ghalib
Teri qasam ka kuch aitabaar nahi hai

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.