Wednesday, March 25, 2015

Aah Ko Chahiye Ik Umar Asar Honey Tak - Mirza Ghalib

Aah ko chaahiye ik umar asar honey tak
kaun jeeta hay teri zulf ke sar honey tak

Daam har mauj mein hai halqa-e-sud kaam neheng
Dekhein kia guzrey hai qatrey pe gohar honey tak

Aashiqui sabr-talab aur tamanna bekaar
Dil ka kia rung karun, khoon-e-jigar honey tak

Hum ne maana ke taghaaful na karo gey lekin
Khaak ho jaein gey hum tum khabar honey tak

Partaw-e-Khoor se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
Main bhi hun aik inaayat ki nazar honey tak

Gham-e-hasti ka Asad, kis se ho juz marg-e-ilaaj
Sham'aa har rung mein jalti hay sahar honey tak

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.