Ab k hum bichrey tou shayad kabhi khuaabon mein milein
Jis tarah sookhey huey phool kitaabon mein milein
Dhoond ujrey huey logon mein wafa k moti
Ye khazaaney tujhe mumkin hai kharaabon mein milein
Gham-e-duniyaa bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha barhta hai sharaabein jo sharaabon mein milein
Aaj hum daar pe khainchey gaey jin baaton par
Kia ajab kal wo zamaanon ko nisaabon mein milein
Ab na wo mein hun, na tu hai, na wo maazi hai Faraz
Jaise do shakhs tammanna ke saraabon mein milein

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.