Friday, March 27, 2015

Daaem Para Hua Tere Dar Par Nahi Hun Mein - Mirza Ghalib

Daaem para hua tere dar par nahi un main
Khaak aisi zindagi pe ke pat-thar nahi hun main

Kiun gardish-e-madaam se ghabraa na jaey dil
Insaan hun, pyaala-o-saaghir nahi hun main

Yaa Rab, zamaana mujh ko mitaata hai kis liye
Lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

Hud caahiye saza mein aqoobat ke waastey
Aakhir gunaahgaar hun, kaafir nahi hun main

Rakhte ho tum qadam meri aankhon se kiun daraigh
Rutbey mein mahr-o-maah se kamtar nahi hun main

Karte ho mujh ko manaa-e-qadam-bos kis liye
Kia aasmaan ke bhi baraabar nahi main

Ghaalib wazeefa-khuar ho, do saakh ko dua
Wo din gaey ke kehtay thay "Naukar nahi hun main"

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.