A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Ahmed FarazAhmed Faraz poetryAhmed Faraz SMSGhazalLove poetrySad Poetry

Haath Uthey Hein Magar Lub Pe Dua Koi Nahi - Ahmed Faraz

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Haath uthey hein magar lub pe dua koi nahi
Ki ibaadat bhi wo jis ki jazaa koi nahi

Ye bhi waqt aana tha ab gosh har awaaz hay
Aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahi

Aa ke ab tasleem kar lein tu nahi tou main sahi
Kaun maanega ke hum mein bewafa koi nahi

Waqt ne wo khaal uraai hai ke dil ke dasht se
Qaafiley gzuzrey hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahi

Khud ko yun mehsoor kar baithaa hun apni zaat mein
Manzilein chaaron taraf hain, raasta koi nahi

kaisey raaston se chaley aur kis jagah puhunchey Faraz
Yaa hujoom-e-dostaan tha saath yaa koi nahi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]