Jaur se baaz aaein par baaz aaein kiun
Kehtay hen hum tum ko munh dikhlaaein kiun
Raat din gardish mein hein saat aasmaan
Ho rahey ga kuch na kuch ghabraaein kia
Laag ho tou us ko hum samjhein lagaaw
Jab na ho kuch bhi, tou dhoka khaaein kia
Ho liye kiun naama bar k sath sath
Yaa Rab apne khat ko hum puhunchaaein kia
Mauj-e-Khoon sar sae guzar hi kiun na jaaey
Aastaan-e-yaar se uth jaaein kia
Umar bhar dekha kiye marne ki raah
Mar gaey par dekhiye dikhlaaein kia
Puchtey hein wo k Ghalib kaun hay
Koi batlaao k hum batlaaein kia

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.