Kaha tha kis ne ke ahd-e-wafa karo us se
Jo yun kiya hai tou phir kiun gila karo us se
Ye ahl-e-baz tunak hausla sahi phir se
Zara fasaana-e-dil ibtidaa karo us se
Ue kia ke tum hi gham-e-hijr ke fasaane kaho
kabhi tou us ke bahaaney suna karo us se
Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
Jo dil mein hon wohi baatein kiya karo us se
Faraz tark-e-ta'alluq tou khair kia hoga
Yahi bohot hai ke kam kam mila karo us se

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.