Khwaab marte nahi
Khwaab dil hain, na aankhein, na saansein ke jo
Raiza raiza huey tou bikhar jaaein gey
Jism ki maut se ye bhi mar jaaein gey
Khwaab marte nahi
Khwaab tou roshnaai hain, nawa hain, hawa hein
Jo kaaley pahaaron se ruktey nahi
Zulm ke dozakhon se bhi phukate nahi
Roshnaai aur nawa aur hawa ke aalam
Maqtalon mein puhunch kar bhi jhuktey nahi
Khwaab tou harf hain
Khwaab tou noor hain
Khwaab tou suqraat hain
Khwaab tou Mansoor hain
Khwaab dil hain, na aankhein, na saansein ke jo
Raiza raiza huey tou bikhar jaaein gey
Jism ki maut se ye bhi mar jaaein gey
Khwaab marte nahi
Khwaab tou roshnaai hain, nawa hain, hawa hein
Jo kaaley pahaaron se ruktey nahi
Zulm ke dozakhon se bhi phukate nahi
Roshnaai aur nawa aur hawa ke aalam
Maqtalon mein puhunch kar bhi jhuktey nahi
Khwaab tou harf hain
Khwaab tou noor hain
Khwaab tou suqraat hain
Khwaab tou Mansoor hain
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.