Muntazir ka se tahaiyyur hai teri taqreer ka
Baat kar tujh par gumaan honey laga tasveer ka
Raat kia soey ke baaqi umar ki neend ur gai
Khwaab kia dekha ke dharka lag gaya taabir ka
Jaaney tu kis aalam mein bichraa hai k tere baghair
Aaj tak har lafz fariyaadi meri tehreer ka
Jis tarah baadal ka saaya piyaas bharkaata rahey
Main ne wo aalam bhi dekha hai teri tasveer ka
Kis tarah paaya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
Mujh sa munkir bhi tou qaail ho gaya taqdeer ka
Ishq mein sar phorna bhi kia ke ye be-meher log
Joo-e-khoon ko naam dete hein joo-e-sheer ka
Jis ko bhi chaaha usey shiddat se chaaha hai Faraz
Silsilaa toota nahi dard ki zanjeer ka

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.