Wednesday, March 25, 2015

Na Tha Kuch Tou Khuda Tha, Kuch Na Hota Tou Khuda Hota - Mirza Ghalib

Na tha kuch tou Khuda tha, kuch na hota tou Khuda hota
Daboya mujh ko honey ney, na hota main tou kia hota

Hua jab gham se yun bey hiss tou gham kia sar k kataaney ka
Na hota gar juda tun se, tou zaanon par dhara hota

Hui muddat k Ghalib mar gaya, par yaad aata hay
Wo har ik baat par kehna, ke yun hota tou kia hota

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.