Nahi ke mujh ko qayamat ka aitaqaad nahi
Shab-e-firaaq se roz-e-jazah ziyaad nahi
Koi kahey k shab-e-mah mein kia buraai hai
Bala se aaj agar din ko abr-o-baad nahi
Jo aaun saamney un ke, tou marhaba na kahein
Jo jaun waan se kahin ko, tou kherbaad nahi
Kabhi jo yaad bhi aata hun main tou kehte hein
Ke aaj bazm mein kuch fitnaa-o-fasaad nahi
Alawa Eid k milti hai aur din bhi sharaab
Gada-e-koocha-e-maikhaana naamuraad nahi
Jahan mein ho gham-o-shaadi baham, hamen kia kaam
Diya hay hum ko khuda ne wo dil k shaad nahi
Tum un k waadey zikar un se kiun karo Ghalib
Ye kia ke tum kaho aur wo kahein k yaad nahi

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.