Sunday, March 29, 2015

Shola Tha Jal-Bujhaa Hun Hawaaein Mujhe Na Do - Ahmed Faraz

Shola tha jal-bujha hun hawaaein mujhe na do
Main kab ka jaa chuka hun sadaaein mujhe na do

Jo zeher pee chuka hun tumhi ne mujhe diya
Ab tum tou zindagi ki duaaein mujhe na do

Aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakoon
Har baar duur jaa ke sadaaein mujhe na do

Ka mujh ko aitaraaf-e-mohabbat na tha Faraz
Kab main ne ye kaha tha sazaayein mujhe na do

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.