Sukoot-e-shaam-e-khizaan hai qareeb aa jaao
Bara udaas samaan hai, qareeb aa jaao
Na tum ko khud pe bharosa, na hum ko zom-e-wafa
Na aitabaar-e-jahaan hai qareeb aa jaao
Raah-e-talb mein kisi ko dheyaan nahi
Hujoom-e-hum-safaraan hai, qareeb aa jao
Jo dasht-e-ishq mein bichrein wo umr bhar na mile
Yahaan dhuaan hi dhuaan hai, qareeb na jaao
Ye aandhiyaan hain tou sheher-e-wafa ki khair nahi
Zamaana khaak-fashaan hai, qareeb aa jaao
Faqeeh-e-sheher ki majlis nahi ke duur raho
Ye bazm-e-peer-e-magaan hai, qareeb aa jaao
Faraz duur ke sooraj ghuroob samjhey gaye
Ye daur-e-kam-nazaara hai qareeb aa jaao

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.