Tarap uthoon bhi tou zaalim teri duhaai na dun
Main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhaai na dun
Tere badan mein dharakney laga hun dil ki tarah
Ye aur baat ke ab bhi tujhe dikhaai dun
Khud apne aap ko parkhaa tou ye nadaamat hai
Ke ab kabhi usey ilzaam-e-bey-wafaai dun
Mujhe bhi dhund kabhi mehw-e-aaina-daari
Main tera aqs hun lekin tujhe dikhaai na dun

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.