Sunday, March 29, 2015

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya - Ahmed Faraz

us ne sukoot-e-shab mein bhi apnaa payaan rakh diya
Hijr ki raat hum par, maah-e-tamaam rakh diya

Aamad-e-dost ki nawaid koo-e-wafa mein aam thi
Main ne bhi ik charaagh sa dil, sar-e-shaam rakh diya

Dekho ye mere khwaab thay, dekho ye mere zakhm hain
Main ne tou sab hissaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya

Us ne nazar nazar mein hi aisey bhaley sukhan kahey
Main ne tou uske paaun mein saara kalaam rakh diya

Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mae-kashi rahi
Us ne jo phair li nazar mein ne bhi jaam rakh diya

Aur Faraz chahiyen kitni mohabbatein tujhe
Ke Maaon ne tere naam par bach-chon ka naam rakh diya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.