A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Mere dil mere musaafir
Hua phir se hukm saadir
Ke watan-badar hon ham tum
Dein gali gali sadaaein
Karein rukh nagar ngar ka
Ke suraagh koi paayein
Kisi yaar-e-naama-bar ka
Har aik ajnabi se puchtey hain
Jo pata tha apney ghar ka
Sar-e-koo-e-neshaaniyaan
Hum ne din se raat karna
Kabhi iss se baat karna
Kabhi us se baat karna
Tumhain kia kahun ke kia hai
Shab-e-gham buri bala hai
Humein ye bhi tha ghaneemat
Jo koi shumaar hota
Hamein kia bura tha marna
Agar aik baar hota

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]