Ibtidaa-e-ishq hai rota hai kia
Aagey aagey dekhiye hota hai kia
Kaafiley mein subah ke, ik shor hai
Yaani ghaafil hum chaley, sota hai kia
Sabz hoti hi nahi ye sar-zameen
Tukhm-e-khwaahish dil mein tu bota hai kia
Ye nishaan-e-ishq hain jaatey nahi
Daagh chaati ke abas dhota hai kia
Ghairat-e-Yousuf hai ye waqt-e-azeez
Meer is ko raaeygaan khota hai kia
Aagey aagey dekhiye hota hai kia
Kaafiley mein subah ke, ik shor hai
Yaani ghaafil hum chaley, sota hai kia
Sabz hoti hi nahi ye sar-zameen
Tukhm-e-khwaahish dil mein tu bota hai kia
Ye nishaan-e-ishq hain jaatey nahi
Daagh chaati ke abas dhota hai kia
Ghairat-e-Yousuf hai ye waqt-e-azeez
Meer is ko raaeygaan khota hai kia
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.