Rahi nagufta mere dil mein daastaan meri
na is daeyaar mein samjha koi zubaan meri
Ba-rung-e-saut-e-jaras se duur hun tanha
Khabar nahi hai tujhe aah kaarawaan meri
usi se duur raha asl-e-muda'a jo tha
Gaee ye umar-e-azeez aah raaeygaan meri
Tere firaaq mein jaisey khayaal muflis ka
Gaee hai fikr-e-paraishaan kahaan kahaan meri
Diya dikhaai mujhe tou usi ka jalwa Meer
Pari jahaan mein jaa kar nazar jahaan meri

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.