Wafa ke khwaab, mohabbat ka aasaraa ley jaa
Agar chala hai tou jo kuch mujhe diya, ley jaa
Maqaam-e-sood-o-ziyaan aa gaya hai phir jaanaan
Ye zakhm mere sahee, teer tou uthaa ley jaa
Yahi hai qismat-e-sahaara yahi karam tera
Ke boond boond ataa kar ghata ghata ley jaa
Ghoroor-e-dost se itna bhi dil-shikastaa na ho
Phir uth ke saamney daaman-e-iltejaa le jaa
Nadaamatein hon tou sar baar-e-dosh hota hai
Faraz jaan ke aiwaz aabaroo bacha ley jaa

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.