A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aaina kiun na dun k tamaasha kahein jisey
Aisa kahan se laaun ke tujh sa kahein jisey

hasrat ne laa rakha teri bazm-e-khayaal mein
Guldasta-e-nigaah suweeda kahein jisey

Phoonka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein aey Khuda
Afsoon-e-intezaar tamanna ahein jisey

Sar par hujoom-e-dard-e-ghareebi se daaliye
Wo aik musht-e-khaak ka sahara kahein jisey

Hai chashm-e-tar mein hasrat-e-dildaar se nihaan
Shauq-e-inaan gusekhta daryaa kahein jisey

Darkaar hay shiguftan-e-gul haaey aish ko
Subh-e-bahar paanbaa-e-meenaa kahein jisey

Ghalib buraa na main, jo waaiz bura kahey
Aisa bhi koi hai k sa acha kahein jisey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]