A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aamad-e-khat se hua hai sard jo bazaar-e-dost
Dood-e-sham-e-kushtaa tha shayad khat-e-rukhsaar-e-dost

Aey dil naa aaqibat andesh, zabt-e-shauq kar
Kaun laa sakta hai taa-e-jalvaa-e-dildaar-e-dost

Khaana veeraan, saazi-e-hairat tamaasha ki jiye
Soorat-e-naqsh-e-qadam hun rasfta-e-raftaar-e-dost

Ishq mein bey-daa-e-rashq-e-ghair ne maara mujhe
Kushtaa-e-dushman hun aakhir, garcha tha beemaar-e-dost

Chashm-e-maey roshan, k us bey-dard ka dil shaad hai
Deeda-e-pur-khoon hamara, sagar-e-sarshaar-e-dost


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]