A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ab ke rut badli tou khushboo ka safar dekhe ga kaun
Zakhm phoolon ki tarah mehkein gey par dekhe ga kaun

Dekhna sab raqs-e-bismil mein magan ho jaein gey
Jis taraf se teer aaey ga udhar dekhey ga kaun

Wo hawas ho, ya wafa ho, baat mehroomi ki hai
Log tou phal phool dekhin gey, shajar dekhey ga kaun

Hum chiraagh-e-shab hi jab thehrey tou phir kia sochna
Raat thi kis ka muqaddar, aur sahar dekhe ga kaun

Aa faseel-e-sheher se dekhin ghaneem-e-sheher ko
Sheher jalta ho tou tujh ko baam par dekhe ga kaun

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]