A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaanaan
Yaad kia tujh ko dilaaein tera paimaan jaanaan

Yun hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatey hein insaan jaanaan

Zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
Hum ne jesey bhi basar ki, tera ehsaan jaanaan

Dil ye kehta hai ke shaayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kia baat karein, dil tou hai naadaan jaanaan

Avval-avval ki mohabbat ke nashey yaad tou kar
Bey-piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan

Aakhi aakhir tou ye aalam hai ke ab hosh nahi
Rag-e-meenaan sulag uthi thi rag-e-jaan jaanaan

Muddatton se ye aalam, na tawwaqau, na ummeed
Dil pukaarey hi chala jaata hai jaanaan jaanaan

Hum bhi kia saada thay, hum ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dauraan se juda hai, gham-e-jaanaan, jaanaan

Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaana
Sar-ba-zaanu hai tou koi sar-ba-giraibaan jaanaan

Har koi apni hi aawaaz se kaamp uthta hai
Har koi apney hi saaey sey hiraasaan jaanaan

Jis ko dekho wohi zanjeer-bapa lagta hai
Sheher ka sheher hua daakhil-e-zindaan jaanaan

Ab tera zikar bhi shaayad hi ghazal mein aaey
Aur se aur hua dard ka unwaan jaanaan

Hum ke roothi hui rut ko bhi mana lete thay
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanaan

Hosh aaya tou abhi khuaab thay raizaa-raizaa
Jaisey urtay huey auraaq-e-paraishaan jaanan

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]